Ramzan-ul-Mubarak sirf roza rakhne ka mahina nahi, balkay yeh gharon ko jorne, dilon ko qareeb lane aur Islami taleemat ko amli zindagi mein lane ka behtareen mauqa hota hai. Is barkat bhare mahine mein jab poori family aik sath sehri aur iftari karti hai, to sirf bhookh aur pyaas ka ehsaas nahi hota balkay sabr, shukar aur mohabbat ka rishta mazboot hota hai.
Ramzan family bonding ko is liye bhi barhta hai kyun ke walidain apne bachon ko roza rakhne ki ahmiyat, namaz ki pabandi aur Quran ki tilawat ki taraf raghbat dilate hain. Ghar ka mahaul ibadat aur sakoon se bhar jata hai. Taraweeh ke baad ghar walon ka aik sath baith kar deen par guftagu karna, Nabi Kareem ﷺ ki sunnaton ko yaad karna aur aik doosray ki madad karna Islami taleemat ka khoobsurat izhar hai.
Is mahine mein sabr, ikhlaq aur khidmat-e-khalq par khas zor diya jata hai. Bachon ko sadaqat, zakat aur ghareebon ka khayal rakhne ka dars milta hai. Is tarah Ramzan na sirf fard ki tarbiyat karta hai balkay poori family ko aik Islami unit mein tabdeel kar deta hai jahan muhabbat, ehtram aur taqwa bunyaad bante hain.
Agar Ramzan ko poori family ke sath samajh kar guzara jaye to yeh rishton ko mazboot aur zindagi ko roohani tor par behtar bana deta hai.